Advantage of participating in NIESBUD

in #business6 years ago

Hello Dosto, NIESBUD ke baare me maine aap ko bataya tha ki ye hai kya aur aap ko iss se kya faayda hoga ab main aap ko yaha pe iske aur bhi faayde ke baare me bataunga jiss ko jaan kar aap khush ho jaayenge aur aap bhi iss me hissa lenge. Dosto NIESBUD ek institute hai jo aap ko business ki training dega aur aap ko business sambhaalne ke baare me batayega. Inka maksad kiya hai ye maine aap ko apni pichli post me bata diya tha. Ab aage baat karte hai.   

Image Source pexels.com 

Kya hoga iss me khaas. 

Iss me aap ko sab se pahle ye bataya jaayega ki aap apni area me business ki pahchaan kaise kar sakte hai. Sab se jyada jaruri yahi chij hai logo ko pata hi nahi chalta ki kon sa business shuru kare. To aise me ye institute aap ki madad karega ki kon sa business aap ke area ke liye sahi hai. Fir aap ko ye uss business ke related chije batayenge ki kaise aap business ko sambhaal sakte hai aur kaise aap project ko develop kar sakte hai. 

Business planning sikh jaayenge. 

Iss me aap ko startup ke basics problems ke baare me bataya jaayega aur business planning ke tips bhi sikhenge. Project banana sikhenge aur bhi bahut aisa kuch sikhaya jaayega jo aap ke business me aap ki help karega. 

Dosto iss ke baare me hum aur batayenge vistaar se ki aage iss me aur kya kya chij hai aur kya kya aap ko iss se benefit hoga. Business shuru karna chahte hai to aap jarur padhe agli post ko.

Sort:  

Kya hoga iss me khaas.

To listen to the audio version of this article click on the play image.

Brought to you by @tts. If you find it useful please consider upvoting this reply.

Coin Marketplace

STEEM 0.18
TRX 0.16
JST 0.030
BTC 62405.22
ETH 2436.36
USDT 1.00
SBD 2.62