namkeen gosht bnane ka tareeka
aj main ap sub k waste phr aik salan bnane ka tareeka laya hon aur ap sub ko pasand aye ye main chahta ho main phele apko ilaj ka btata tha k hum ghar main reh k doctor k baghair kaise ilaj kar sakte hain lekin kuch din se main ne hakeem se koi aur ilaj ka nahi pocha tu main ne ap k sath salan bnane ka tareeka aur bahot hi achi ache khane bnane ka tareeka btata ho aur ap sub ko bahot hi pasand ate hai is le main kosish karta ho roz nahi tu aik do din bad ap sub k le kuch na kuch likh do
aj main apko namkeen gosh bnane ka tareeka btao ga mujhe khana bnane ka bahot hi shoq hain aur main aksar ghar main reh k bnanta rehta ho kiyun k jub bahi fre hota ho tu ghar walo ki madad karta rehta ho
wese chicken ka gosht tu her koi bna leyta hain lekin namkeen bahot hi kam bnanya jata hain aur sahi se logo ko bnana bi nahi ata hai is le main apko ghar main namkeen gosht bnane ka tareeka btao ga aur ap sub ko bahot hi pasand aye ga aur ap ghar main maze mazee k khane bna sakte hain main english main post nahi bana sakta is le hindi aur urdu wale hi meri post ko pasand karte hain
Namkeen gosht bnane k le zarori saman .
1 . Gosht leyn aur gosht charbi wala hona chahye
namak , tamator , hari mirch
adhark ka paste bnaye
oil leyn jitna ap ka gosht ho us k mutabik le leyn
garam pani 1 cup
sabaz dhaniya zeera aur garam masala
namkeen bnane ki tarkeeb .
1 . sub se phele kisi bartan main oil ya gheee leyn aur us main adharak ka pasate dal leyn aur 1,2 mint tak ache se fry kar leyn
is k baad is main gosht daal kar ache se fry kar lyn
jub gosht ka rang tabdeeel ho jaye tu is main pani daal kar teez ag jala deyn
is mai kali mirch daal deyn aur itna fry kare k gosht ka pani khushk ho jaye
ab is main haldi aur namak daal kar is main pani daal deyn aur tab tak garm karte rahe jub tak gosht gal na jaye
ab is main adha cup ghee sabaz mirche wagira daal deyn
ab is main dhaniya wagira daal deyn aur halki anch per 2 se 3 mint tak rakh deyn thori deer baad ap k le maze ka namkeen gosht tyer ho ga
photo source : https://kfoods.com/article/peshawari-namkeen-gosht-recipe_a1057
You got a 45.20% upvote from @minnowvotes courtesy of @urdublog!
Defended (47.78%)
Summoned by @urdublog
Sneaky Ninja supports @youarehope and @tarc with a percentage of all bids.
Everything You Need To Know About Sneaky Ninja
woosh
If you ever required a theme for your site please visit us
https://solution-archive.com