Shaheed_e_jawan

in #wtan7 years ago

Salaam un jawaanoN ko jo desh pe mite chale
Salaam un jawaanoN ko, jo desh pe mite chale
Woh zindagi ka kaarwaaN jo ghar se le ke the chale.
Watan ki abroo liye, jawaan aage bad chale,
Ye kaafile jo unke dekh, dushmanoN ke dil jale,
Woh seene mein apne sehte, golion ke zalzale
Woh zindagi ka kaarwaaN jo ghar se le ke the chale.
Salaam un jawaanoN .......................
Woh mouj dil jawaan the, jo desh ko pukaarte,
Apne mukh se ek baar bhi aah na nikaalte,
Desh hit ke waaste jawaaniyaN luta chale,
Woh zindagi ka kaarwaaN jo ghar se le ke the chale.
Salaam un jawaanoN ..........................
Watan ke waaste jo, jaaN ki baazi tak laga haye,
Golion ke her woh waar, seene pe kha gaye,
Woh tukde the jo apni-apni maaoN ke laadle,
Woh zindagi ka kaarwaaN jo ghar se le ke the chale.
Salaam un jawaanoN ............................
Watan ko jaga ke, jaane khud woh kahaan gaye,
Juda hue, amar hue azaadi ke woh din diye,
Bahaduri se ser pe apne, le ke the kafan chale,
Woh zindagi ka kaarwaan , jo ghar se le ke the chale.
Salaam un jawaanoN .............................

Coin Marketplace

STEEM 0.18
TRX 0.14
JST 0.030
BTC 59238.58
ETH 3176.28
USDT 1.00
SBD 2.45