More explanation of VLE (part 2)
Image Source manatelugutech.in
VLE kiya hai aur kaise village me rah kar aap kaam kar sakte ho ye maine aapko pahle hi bata diya hai agar aapne ab tak wo post nahi padha hai to yaha click kar ke us post ko padh sakte hai. dosto VLE yojna kiya hai iske baare me main kal hi bata chuka hoon ab aaj main aapko bataunga ki kaise aap isko start kar sakte ho aur kitna investment karna padega.
VLE shuru karne ke liye kitna investment karna hoga?
Yadi aap Common Service Center kholna chahte hai to aapke pass kam se kam 2 se 3 lakh rupye hona chahye. Aur aapke pass 100 se 150 varg foot ki jagah honi chahye. ek computer aur usme internet connection aur printer, ek digital camera aur inverter hona jaruri hai.
VLE banne ke liye kya karna hoga?
Dosto agar aapko VLE banna hai to aapko sab se pahle https://csc.gov.in iss website par jaana hai aur registration karna hai aur dosto ek jaruri baat iss website me register karne ke liye Aadhar card hona jaruri hai. Isliye agar aapne ab tak apna aadhar card nahi banaya hai to jarur bana le bina adhar card ke aap VLE ke liya apply nahi kar sakte. Dosto jab aap registration kar loge to aapko ek OTP milega aur iss se aap Common Service Center (CSC) par awedan kar paayenge. Agar aapko offline awedan karna hai to aap gram panchayat ya fir nagar panchayat se sampark kar sakte hai.
VLE se aise kar sakte hai kamayi
CSC me bahut tarike ke digital kaam hote hai jaise ki pahchaan patr, pan card, passport, election card, adhar card ye sab banane ki suvidha di jaati hai. aur saath saath aap mobile recharge, DTH recharge, electric bill payment, LIC premium iss tarah ka payment bhugtaan karke aap extra income bana sakte hai. aur kisaano ko mausam ki jaankari aur mitti ki jaanch ye saare jankaariya CSC se hi mil paayegi.
Image Source csc.gov.in
Dosto sarkar dwara aapko salary milegi hi aur saath me aap kaise extra income kama sakte ho ye bhi maine aapko bata di hai. Ab sayad aapko VLE ke baare me sab kuch samajh agaya hoga aur agar ab bhi aap ko kuch samajh nahi aaya to aap mujhe comment kar ke kuch bhi puch sakte ho. Agar mujhe aapke sawaal ka jawaab maloom hoga to main jarur aapki help karunga.
You got a 5.51% upvote from @postpromoter courtesy of @mahtabansari370!
Want to promote your posts too? Check out the Steem Bot Tracker website for more info. If you would like to support the development of @postpromoter and the bot tracker please vote for @yabapmatt for witness!