Meri Qismat

in #luck2 years ago (edited)

images (18).jpeg
Meri qismat pata nahi kasi ha koi bhi kam start karta hon wo start hony sy phaly hi khtam ho jata ha. Online kam karta hon to jab wo pora hony lagta ha us time ya to wo kam fake nikal ata ha ya phr company fake nikal ati ha. Sab ka acha sochta hon lakin jab mera time ata ha to main kisi ko yaad hi nahi rahta. Allah pak sy itni dua ki lakin meri dua main koi asar hi nahi ha pori hi nahi hoti. Main jo kam karta hon us main kamyabi nahi milti mujy lakin wo hi kam main kisi or ko bolta hon karny ko wo kamyab ho jata ha.

images (17).jpeg

Main ISC karna chata tha lakin kisi ny mere ghar walon ko bola kay is ko ap civil engineering karwayn hum ap k baty ko out of country bajh dayn gy meri engineering to 2014 main pori ho gai lakin mera visa aj tak nahi aya or ab un ko bolta hon kya bana mere visa ka to jawab ata ha out of country main bhi kam nahi ha isi chakkar main mera passport 2 dafa expire ho gya.

images (19).jpeg

Hamary rishtydar apna ghar chor kay dosron k ghar main interface zada karty hain.main ny 1 dafa gym sy wapis ghar aa kar apni pics without shirt Facebook par upload kar di to mere rishtydaron ny mere ghar fone kar diya kay apka beta to bina kapron kay pics upload kar raha ha or aj main jab unki family ki pics dakhta hon to sochta hon ab inki soch kahan gai par kya karon wo asi pics upload karyn to fashion ha.

images (14).jpeg

Rishta dakhny ki bat ki jay to both sy rishty dakhy har taraf sy bat paki ho jati thi lakin at the end pata nahi kya waja banti kay reject ho jata. Jitni bhi families dakhi sab ny pasnd kya sab ko apny baray main batya bhi lakin at the end larky ki government job nahi ha. Main ny kabi khud force nahi kia ghar walon ko rishty kay liay because main khud bhi janta hon kay mere ghar waly abi is condition main nahi hain kay wo meri shadi kay expense afford kar sakyn.

images (16).jpeg

Government job kay liay itna apply kia itny main ny apply karny pay paisy lagay us main main LLB kar sakta tha lakin jab tak ap ki sifarish nahi apko job nahi milni. Har dafa yeh soch kar apply kar data hon kay yeh last time ha is kay bad kabi apply nahi karon ga lakin halat ki waja sy phr kar data hon.

images (15).jpeg

Dosron ko jab tak khilaty raho tab tak ap sahi ho lakin jab kabi apka time aa jay to koi apko pochta nahi ha. Socha tha youtube channel bana lata hon kuch na kuch to earning ho gi phr main ny apna channel banaya 11 month kay bad qismat asi ha kay mera YouTube channel monitize bhi ho gya lakin 1 week kay bad unmonitize bhi ho gya 4 month sy try kar raha hon monitize karny ki lakin har bar wo koi na koi issues bana dayty hain or phr sy 1 month wait karna parta ha.

images (20).jpeg

Allah pak sy roz dua karta hon kay Ya Allah bs kardy mere or imtyhan na ly asa lagta ha kay meri dua bhi meri qismat kay jasi ha pori hony sy phaly hi khtam ho jati ha. Agr koi friend ya relative online kam karta ha us sy koi information mang lon us kam ki to koi kuch batata hi nahi wo samjty hain jasy pasy ono ny apni pocket sy dany hain or jo mujy online ka kuch pata ho to main sab sy share karta hon yeh soch kar kay kon sy main ny in ko pasy dany hain.

images (22).jpeg

Main online work ya government job apny liay nahi karna chata kay mujy zada sy zada pasy milyn or main enjoy karon. Mujy mere parents ka khyal ata ha kay itna ho kay main ab unki life ko achy sy pora kar sakon. Mujy yad kay eid par har dafa mere parents hum bhen bhaion kay liay kapray ly kar aty thy lakin wo apny liay nahi thy layty. Main ab private job karta hon lakin mera budget itna nahi ha phr bhi main apni maa kay liay jo shoe costly hota ha wo ly kar data hon or meri maa bhi phaly shoe ki price dakhti hain agr price ki samj na ay to mujh sy pochti hain kitny ki ha par main unko bolta hon apko pasnd ha na bs priyko ap chor dyn phr wo salesman sy poch lati hain costly ho to mana kar dati hain lakin main phr bhi un ko wo hi ly kar data hon mujy apny parents sy both pyar ha sab ko hota ha koi new bat nahi ha. Lakin main apny baap sy bhi zada apni maa sy pyar karta hon wo ghar na hon to main khana nahi khata sister khana ly ati hain main bolta hon kay jab wo ayn gi to main us time kha lon ga.

Jo jo bhai mera yeh article pary or wo real online work janta ho to please mujy bs bata dy thank you for your help

Coin Marketplace

STEEM 0.20
TRX 0.16
JST 0.030
BTC 65811.45
ETH 2675.69
USDT 1.00
SBD 2.88