Ye koi khofnak story nahi balkay aik sabaq seekhne wala waqiya hai

in #lifestyle6 years ago

Salamz.
Ye koi drowni story nahi balkay aik sabaq aamoz waqiya hai.

Meri couzin, khala ki barhi beti bahut haseen thee , usne khala ki bahut mukhalifat ke bawajood apni pasand ki shaadi ki thi. Uski saas do moo ki thi ,shaadi to kerdi per dil mai uske zeher tha. Jo bura sulook kya baji se, woh to lambi kahani hai likhne bethi to subah hojayegi . Baji ne pehli dafa expect kya to usko itna rikshay mai ghumaya or koi khayal na kya . Duniya mai aanay se pehle hi rooh Allah ke pas chali gyi.

Ab Allah janay ye Allah ki raza thi ya koi rok ki gyi thi. Saas ne apnay gher mai khoob billiya paal rakhi thi . Poore gher se khoon ki boo aati thi , kyunke her waqt un 5,10 billiyu kelye phephrhe ( lungs) ubalte rehte the. Bad mai ye bhi pata chala ke log billiya islye paltay hain, ke Jis gher mai billi ho us pe jadoo nahi hosakta ( wallah ul alam ). kher jab Baji dubara expect kerne lagi to maano saas ke to dil mai aag lag gyi. Meri khala ke wazifo or duaon se is dafa koi masla na hoa. Allah ne beta dya, Jis din se woh bacha peda hoaa. jese hi bacha baji ke pas le jatay akarh jata or aise rone lagta jese Allah na kare mar jaye ga. Saas ko itni Jalan thi ,kuch din kay bachay ko aisee halat mai ,or Baji ko, shoher se dhamki dilwake (or suna hai pitwaya bhi tha)baji ko uske gher chorh gyi , bachay Samait ke jab se beta hoa hai iske bahut dimagh kharab hogaye hain. Sachi bat ye hai ke , jab larhki larhke ko mil jaati hai to muhabbat ka Nasha bhi uter jata hai , Ab maa ki haan mai Han milata tha beta .pata nahi kya Ghol ke Pilati thi.

Jab woh bacha gher mai aya to ajeeb waqiyat shuroo hogye. Rat 1 bajay se bacha Rona shuroo kerta subah tak rota. Aik din kya hoa ke phool ke dhol hogya. Waqt rehte Emergency le gye, Pata chala lactose intolerant ( dairy se allergy) hai, mgur Herat ki baat ye hai ke woh her dAbbay ka doodh pee leta per Maa ke pas janay se rota . Jab ye halaat na sudhray or meri khala ko buray khwab aaye Jis mai kuch ajeeb isharay thay to aik aalim se contact kya. Pata laga sakht jadoo keraya gya hai. Unhon ne zafran ke pani se taam cheeni ki pleto pe likhne kelye kuch Ayate deen.

Jin ko pani se dho ke , is pani ko bachay ko Pilana tha. Jab ye Amal shuroo kya gya, gher mai sab ko dar lagna shuroo hogya. Lagta tha koi Aas pas hai. Aik dAfa raat 1 bajay meri khala ko kamray se kitchen mai Jana parha, shayed doodh bananay bachay ka( wohi plate dho ke) , meri choti couzin bhi sath ho li . Kyunke room ke door band they AC chal raha tha or barha gher tha kitchen door tha. To jab woh kitchen mai kaam kerrahay thay, kitchen ki window se bahar jaha ghup andhera tha, Ksi ne khala ko Awaz di. Meri khala ka naam Farzana hai. Ksi ne naak Wali awaz mai kaha “farnana” , aik ya shayed 2 baar. Meri khala or meri couzin sun hogyi. Mgur meri couzin samajhdar hai , chehre pe na aanay dya. Meri khala ne ghabra ke kaha tum ne suna mujhe Ksi ne awaz di hai. Meri couzin ne kaha koi nahi , chalain chalain bus kamray mai chalain yaha se.

Phir aik dafa woh kharab cheeze insaani shakal mai khala ke khwaab mai bhi aayi. Jab bachay ko Phir aalim sahab ke pas dikhanay le jana tha , to raaste mai aik dam se kahi se koi bacha bhagta hoa car ke samnay agaya . Alhamdullilah koi jaani nuqsaan na hoa per us din aalim sahab ke pas na jasakay. Baji or bachay ka ilaaj hoa bahut, woh behter hogaye mgur us ki saas ne usko basne na dya. 1 , 2 Maheene guzer gaye baap dekhne na aaya na bachay ka naan nutfa dya. Jab aakhiri bar aaya to sab bate suni or apni ghalti maani .mgur jab maa ke pas gya to Phir badal gya. Thak har ke Khula ka case kya ,Baji ke character pe saas ne khaandan mai khoob keecharh uchala, beta aik lafz na bola. Baji ko khala ne bahut zewar dya tha, Jahaiz ka aik zewar, aik payi ,hatta ke pehenne Kay kaprhe tak harhap kerlye. Aik dheela wapis na kya. Aaj Baji apne doosre husband ke sath Europe mai rehti hai or khoob Phal phool Rahi hai , beta bhi jawan hogya hai or Allah ne or bachay bhi dye hain.
Anonymous

Coin Marketplace

STEEM 0.19
TRX 0.13
JST 0.028
BTC 66052.74
ETH 3320.33
USDT 1.00
SBD 2.69