Chatro ko lagta hai nakal me hi akal hai.

in #life6 years ago

Aaj to mujhe ye news dekh kar hasi hi aa gayi. Kitna kamjor student hai uttar pradesh aur Bihar ke yaar. Yaha ke student adhiktar nakal kar ke hi pass hote hai. Social media par uttar pradesh ka to kam lekin bihar ka bahut majaak udta hai aap ne to dekha hi hoga. Bhayanak chori chalti hai bihar me, adhiktar student bas nakal kar ke hi pass hote hai udhar lekin ab niyam kade kar diye gaye hai. 

Tough measures to check use of unfair means resulted in 5,10,712 candidates skipping their paper in the ongoing UP Board examinations till Thursday, fifth day of the exam.
On day 3 (Tuesday), 2,72,452 students had not turned up to write their Hindi exam in the Hindi heartland. Till Wednesday 4,66,161 students had kept away from the ongoing Board exams.
Source


Image source

Dekh rahe ho aap ab tak 5 lakh se jyada students ne exam chod diya hai. Exam me registration to karwaya hai lekin exam diya nahi. Wo exam dene aaye hi nahi ye wahi log hai jo nakal kar ke aur dusro se copy likhwa kar pass hona chahte hai. Inko lagta hai nakal me hi akal hai. Lekin iss baar nakal nahi chal paaya. 

Bahut jyada security rakhi hai iss baar. Aap logo ko pata hai iss baar to exam me juta chappal bhi pahan kar nahi jaana hai. Aise hi khaali per exam dene ke liye jana hai. Bahut jyada security kar di gayi hai aur ab har room me cctv camera bhi lagaya gaya hai. Iss ke alawa aur voice recorder bhi lagaya hua hai dekh rahe ho kadayi bhayanak kadayi hui hai iss baar to. 

Pichle saal ki baat.
Maine pichle saal news me dekha tha ek ladka jo roj roj ki checking se pareshan ho gaya tha fir ek din lungi aur baniyaan pahan ke hi exam dene ke liye aa gaya. Ab banda kare to kare kya checking se pareshaan ho kar bechaare aise exam dene pahuch jaate hai. 


Image source

Watch le jaana bhi mana hai.
Bahut se student time dekhne ke liye watch leke jaate hai lekin ab waha to watch par bhi ban laga diya gaya hai. Uttar pradesh ka to pata nahi lekin bihar ka maine suna hai ki waha watch par bhi ban laga diya gaya hai exam me aap ghadi bhi le kar nahi jaa sakte hai. Nakal rokne ke liye kuch to karenge hi na bhai jo mehnat karte hai unko uska fal to milna chahye lekin ye nakalbaaz ki wajah se unko faayda nahi ho paata. 

Humare yaha nakal kam hota hai isliye security bhi kam hai. Main jharkhand state se hoon yaha juta mauja sandal pahan ke jaane par koi rok nahi hai aur watch bhi leke jaa sakte hai sirf mobile le jaane par rok hota hai hum mobile leke nahi jaa sakte hai. 

Coin Marketplace

STEEM 0.19
TRX 0.15
JST 0.029
BTC 63398.53
ETH 2660.51
USDT 1.00
SBD 2.77