Ye hai faayda PPF ka

in #investment6 years ago (edited)

Hello Dosto, Apne pichle post me maine aap ko public provident fund ke baare me bataya tha agar aap ne meri pichli post nahi padhi hai to fir ( Choti choti amount se banaaye bada amount ) aap yaha click kar ke meri wo post padh sakte hai. Maine iss me aap ko ek badhiya plan ke baare me bataya hai. Aaj hum isi ko continue karenge. Kal maine aap ko PPF account ke baare me vistaar se bataya tha aaj iss ke interest ke baare me bataunga. 


img src

Kitna milta hai interest

PPF me 7.6% ka interest diya jaata hai. Ye account 15 saal ke liye hota hai matlab ki ye 15 saal baad mature ho jaayega. Ek aur baat ye hai ki agar aap chahe to 5 saal ke liye ye badha bhi sakte hai. Iss me ek faayda maine aap ko pichle post me hi bataya tha ki 1.50 lakh rupya tak exemption milta hai. 

Kam se kam saal me 500 deposit karna hai

Agar aap ye account khulwa lete hai to aap ko har saal kam se kam 500 deposit karna padta hai. Agar aap itna deposit nahi karoge to sayad aap ka account band ho sakta hai. Waise iss ke baare me achhe se pata nahi mujhe isliye agar aap account khulwa rahe ho to puch lena ki agar deposit na karu to kya hoga. Ek aur baat iss me ek banda 1 hi account khol sakta hai. 

Kya aap khol sakte hai 

Aap soch rahe honge ki kon khol sakta hai ye account to dosto ye account na koi bhi khol sakta hai. Iss me koi bhi age limit nahi hai aur koi bhi Indian iss account ko khol sakta hai. 

Main aap ko apni agli post me bataunga ki kaha aap ye account khulwa sakte hai aur kon kon se documents aap ko jarurat padegi. Iss se pahle main aap se yahi kahna chahunga ki aap meri pichli post jarur padh lena. Usme PPF ke baare me shuru se jankaari hai. Wo padhoge aap tab ye wala samajh me aayega aur agle wala bhi. 

Coin Marketplace

STEEM 0.19
TRX 0.15
JST 0.029
BTC 63811.18
ETH 2610.29
USDT 1.00
SBD 2.83