Rooh qabz hone ke baad ki duniya.

in Steem Schools3 years ago

images - 2021-08-11T012950.733.jpeg

Source

Assalamu alaikum wa Rahmatullah.

Rooh qabz hone ke baad ki duniya.

Hazrat Huzaifa R.A farmate he ki me ne Nabi kareem S.A.W ko ye irshad farmate huye suna: tum se pehle kisi ummat me ek aadmi tha.

Jb maut ka farishta us ki rooh qabz krne aaya.

Or rooh qabz hone ke baad vo is duniya se dusre aalam ki taraf muntaqil hogya, to us se puchha gya ki tu ne duniya me koi nek amal kya tha?

Us ne arz kya: Mere ilm me mera koi esa amal nhi he.

Us se kaha gya ki apni zindagi pr nazar dal or ghaur kr, us ne phir arz kya:

Mere ilm me mera koi amal esa nhi he siwaye us ke ki me duniya me logo ke sath khaird o farokht or len den ka maamla kya krta tha.

Jis me daulat mand ko mohlat deta tha, or tangdaston ko muaf kr deta tha to Allah taala ne us shakhs ko jannat me dakhil farma diya.

Shukriya..

Coin Marketplace

STEEM 0.18
TRX 0.16
JST 0.030
BTC 62572.49
ETH 2444.62
USDT 1.00
SBD 2.67