Hajj ki Haqeeqat

in Steem Schools3 years ago

images - 2021-07-17T005923.349.jpeg

Source

Assalamu alaikum wa Rahmatullah.

Hajj ki Haqeeqat.

Hajj ki haqeeqat khuda ki rehmaton or barkaton ke morid khas me hazri, Hazrat Ibrahim A.S or Hazrat Ismaeel A.S ki pairwi me Allah taala ke samne tasleem rza or farmabrdari or itaat ke sath apni gardan jhuka dena, or is muahida abudiyat ko isi tarah baja lana jis tarah khuda ki ye do brguzida hastiya hzaron baras pehle baja layi thi, yhi millat ibrahimi or yhi haqiqi islam he.

Yhi rooh, yhi batini ehsas or yhi vo jazba he jis ko hajjaj in buzrgo ke muqaddas amaal or qadeem dasturo ke mutabik hajj me apne aml or kaifiyat se mujassm krke zahir krte he.

Tamddun ke isi ibtedayi daur ki tarah vo in dino bagher sile huye kapre pehnte he, vo khud apne ko Hazrat Ismaeel ki tarah khuda ke huzur me nzr krne ke liye jate he, is liye itne dino tk sr ke bal na mundwate na tarshwate he.

Duniya ke aish o nishat or taklluf ki zindagi se parhez krte he, na khushbu lgate he, na rangeen kapre pehnte he, na sr jhukate he or usi walihana andaz se jis tarah Hazrat Ibrahim A.S or Hazrat Ismaeel A.S teen din ke safar ke gard o gubar me ate huye or daurte huye khuda me ghr me aaye the.

Jis tarah Hazrat Ibrahim A.S ne khuda ki pukar pr labbaik kaha tha vhi teen hazar baras pehle ka tarana un ki zabaan pr hota he.

Shukriya..

Coin Marketplace

STEEM 0.16
TRX 0.15
JST 0.028
BTC 58213.71
ETH 2257.21
USDT 1.00
SBD 2.49