Shukr ka matalab.
Assalamu alaikum wa Rahmatullah.
Shukr ka matalab.
Shukr ka matalab ye he ki nemat ko nemat smjhe, or dene wale ka ehsan mane.
Aankh, nak, kan, zabaan, hath, per, dant, ungliyan, or vo nakhun jin ko hr hafte trasha jata he, vo bal jin ko ktrwaya or mundaya jata jata he, ye sb Khuda ki nemate he.
In ke nemat hone ka pta jb chlta he, jb in me se koi na rhe ya khrab ho jaye, khrab ko durst krne ke liye kitne ilaj kiye jate he, kitne pese kharch hote he.
Or is khrabi ko kitni buri musibat smjha jata he.
Lehaza hr ek insan frz he ki in nemato ko nemat jane or jis ne ye nemate bakhshi he us ka ehsan mane.
tumhare bdn pr jo kpre he, sone ke liye jo jagh tumhe mili huyi he, dhoop ya barish ke wqt jaha tum sr chupate ho, nhane dhone ka jo intezam he, pet bhrne ke liye jo khana tum ko milta he, ye sb nemate jis ne di he, uska ehsan mano.
Mohabbat bahut badi nemat he, jb tumhe koi dant dapt deta he ya koi esi bat keh deta he jis se tumhara dil dukhta he, tum muh bnaye maa baap, bhai bahan, kisi rishtedar, dost ya kisi mehrban padosi ke pas pahunchte ho, us se shikayat krte ho, vo tumhe dilasa deta he, or tumhare sr pr hath ferta he, tumhe bethata he, gale lgata he, us wqt uski mohabbat tumhe kitna achha maloom hota he.
Tumhara dil paseej jata he, or ankho se be ikhteyar aansu nikl prte he.
Socho! is wqt ki ye mohabbat kitni badi nemat he.
Sone chandi or hr ek cheez se ye mohabbat zada qeemti he.
Isko nemat jano, or jaha se nemat mil rhi hr uska ehsan mano.
Shukriya..