Khwateen ki asal hukook
Assalamu alaikum wa Rahmatullah.
Aurat ko ijazat ke begair bahr jana jayez nhi.
Lekin ek qanoon is ke sath or bhi sun le, vrna mamla ulta ho jayega.
Is liye ki log jb ek trfa bat sun lete he to is se na jayez fayeda uthate he.
Jesa ki aurat pr khana pkana sharan wajib nhi he.
Lekin huzur S.A.W ne ye jo farmaya ki ye tumhare gharo me mukayad rehti he.
Is ka mtlb ye he ki tumhare ijazat ke begair un ke liye khi jana jayez nhi.
Lehaza fukah ne ye qanoon bhi likha he ki agr shohr aurat se ye keh de ki tum ghr se bahr nhi ja skti .
Or apne azeez o aqarin se milne nhi ja skti, yha tk ki uske waledain se bhi milne ke liye jane se mna kr de to aurat ke liye un se mulaqat ke liye ghr se bahr jana jayez nhi.
Haan, agr waledain apni beti se milne ke liye uske ghr aa jaye to ab shohr un waledain ko mulaqat krne se nhi rok skta, lekin fukah ne iski hadd mukarr krdi he ki uske waledain hafte me ek martba aaye, or mulaqat kr ke chle jaye.
Ye is aurat ka haq he, shohr us se rok nhi skta, lekin ijazat ke bager us ke liye jana jayez nhi.
To Allah taala ne dono ke drmyan is trh tawazn brabr kya he ki aurat ke zimme qamooni etebar se khana pkana wajib nhi, to dusri trf qanooni etebar se iska ghr se bahr niklna shohr ki ijazat ke bager jayez nhi.
Shukriya..