December ab k aao to | urdu poetry | December poetry | Fakhira Batool | by Mudassir chaudhry

in #december6 years ago


December ab k aao tou​
Tum us shehar e tamanna ki khabar lanaa​
Keh jis mein jugnuon ki kehkashaan jhilmilaati hay​
Jahan titlee k rangon say fizaain muskarati hain​
Wahan charon taraf khushboo wafa ki hay​
Aur us ko jo bhi pooron say​
Nazar say choo gia pal bhar​
Mehak utha!​

December ab ka aao tou​
Tum us shehar e tamanna ki khabar lanaa​
Jahan per rait k zarray sitaray hain​
Gul o bulbul,Mah o anjum wafa k ista’aray hain​
Jahan dil woh samandar hay jis k kai kinaray hain!​

December hum say na poocho hamaray shehar ki baabat​
Yahan aankhon mein guzray kaarwan ki gard thehri hay​
Muhabbat barf jaisee hay yahan​
Yahan dil k lahoo mein​
Apni palkon ko dabo ker hum​
Sunehray khawb buntay hain​
Phir unhi khawbon mein jeetay hain​
Unhi khawbon pe mertay hain​
Dareeda rooh ko lafzon say seena gou nahee mumkin​
Magar phir bhi!​

December ab k aaou tou​
Tum us shehar e tamanna ki khabar lanaa!!!​

Sort:  

Congratulations @mudassirch! You received a personal award!

Happy Birthday! - You are on the Steem blockchain for 1 year!

You can view your badges on your Steem Board and compare to others on the Steem Ranking

Vote for @Steemitboard as a witness to get one more award and increased upvotes!

Coin Marketplace

STEEM 0.19
TRX 0.15
JST 0.029
BTC 63834.78
ETH 2627.38
USDT 1.00
SBD 2.78