COBOL , FORTRAN , RPG , PL/1
COBOL :
cobol aaj kal boht se computers mn istemaal hoti hai. ye karobari ya gair scincey hisaab kitab ke lie boht hi mufeed hai. iss mn english ke boht se alfaz use hote hn or iss ki hidayat english ke aam fiqron se milti julti hai assan tariqe ki wajah se ye zaban boht zyada istemal hoti hai.
FORTRAN:
Iss zaban mmn hidayat ko cobol ki nisbat mukhtaser noiyat ki hoti hain or iss mn sciency hisaab kitab kerne ke lie boht si hidayat mojod hn. iss lie sciency idarey boht lambe hisaabi amal ke lie yehi language use kerte hn. iss zaban ki aik hidayat mulahiza ho.
Y=A*B+COS(B)/4.3
RPG:
computer jab karobari ya gaeir sciency maqasid ke lie use hota hai to iss se aam tor per lie jaane wala kaam mukhtalif anwaa ki reports tyar kerta hai jo intezamia ko mukhtalf kinds ke faisle kerne k lie darkaar hoti hai. iss kisam ki reports tyar kerne k lie programme cobol mn bhi likhe jaate hn but RPG mn khaas tor per aisi saholiyat muyaser hn jin ki madad se iss kisam ke programme nihayat kam waqat mn ba asani likhe ja sakte hn or iss ka learn kerna boht assan hai.
PL/1:
YE ZABAN aj kal boht tez raftari se maqbool ho rahi hai. iss se pehle ham do zabano cobol or fortran ke mutaliq byan ker chuke hn keh cobol karobar m use hor fortran sciency masaiel ke hal ke lie use hoti hai but pl/1 is lehaz se banai gai hai k iss mn dono zabano ki khasosyat mojod hn or iss mn mojood hidayat dono kisam ke kaam yani karobari or sciency maqasid ke lie kaar amad hn.
thanks for reading!