Good night friends. Mere maan ki bate.steemCreated with Sketch.

in #animal6 years ago

Kabhi kabhi mere dil me khayal aata hai ki kash meri bhi life ki raftar itni tej ho jaye jaise ki hourse ki hoti to main bhi kisi ke kam nahi hota. Har din mehnat karta hoo ki kash aaj kuch accha hoga lekin har din ki trah aaj bhi kuch nahi hua.

Aaj mujhe online work karte karte bahut waqt ho gya hai lekin sirf kuch had tak hi sucess mili hai. Main jab bhi youtube ki video dekhta hoo waha par har koi ye batata hai ki maine itne din me itne rupaye earn kiye. Main bas yahi sochta hoo ki inhe konsa aladin ka chirag hath lag jata hai. Bina kisi mehnat ke ye log kaise itna kama lete hai.

Matlab saf hai ya to ye log jhut bolte hai ya phir samne wale ko pagal samjhte hai. Ya phir ek banda bhi kuch sahi bolta hai to uska nahi pata chalta.

Hum bas ek bat bolte hai agar koi thode waqt me jyada kamata hai to 2 reason ho sakte hai. Ye to phir banda bahut bahut jyada mehnat karta hai ya phir uska luck sath deta hai. Ab pata nahi apni kismat ka sabera kab hoga kab apni bhi kismat ka sitara kab buland hoga. Dua karna Dosto .

Good Night Dosto.

animal-3099035_640.jpg
https://pixabay.com/en/animal-horses-fauna-nature-cavalry-3099035/

Coin Marketplace

STEEM 0.19
TRX 0.15
JST 0.029
BTC 63811.18
ETH 2610.29
USDT 1.00
SBD 2.83