Android 9 Pie 🍰Top Features!!! AI Baked In

in #android9pie6 years ago

Dosto finnaly hamare confustion ko dur karte hua google ne aj official announce kar diya hai ki nam hone wala hai Android ke next version ka Android 9 pie to is blog ko akhir tak read kijia to me apko is me bataunga k is version me kya naye feature milne wale hai is 9 pie me to chalia dosto suru karte hai

android-9-pie-01.jpg

is version me is ko devide kiya gaya hai main 3 categorys me jo main 3 category hai vo hai

1 - intelligence
2 - simplycity
3 - digital wellbeing

1 - intelligence

to sabse pahle ham bat kare intelligence ki to isme apko milne wala hai vo hai battery performance vo kabhi improve hogi kyuki isme ak aesa option hai jo k

Adaptive Battery

Adaptive Battery to isme dosto ap ne jitne app install karke rakhe hai usme kisko kitani battery power deni hai or kisko nai deni vo khud hi deside karega to is tara se ap battery ko save kar payenge

Adaptive Brightness

dosto ham Auto brightness to use karte hai bahot bar pr manlije ham indoor hai out door hai alag alag location pe hai to Adaptive Brightness me kabhi suthar kiya gaya hai

App Action

isme kya hai dosto jese ke ap jab headphone lagate hai or har roj sabse pahle head phone lagane k bad ap youtube hi kholte hai to next time app action k jaria apko notification mil jayenga k ap youtube open kar sakte hai ak single click se

Slices

slices bring relevant parts of your favorite apps to the surface next time you search for lyft you can see prices and driver ETAs right within your results.

2 - simplycity

to ham bat karne wale hai simplycity ke bare me to isme apko home button milne wala hai jese k i phones me aata hai to ap apni app ko simple se swipe kar sakte hai or koi bhi app me aa ja sakte hai or koi bhi data ap copy paste kar sakte hai

3 - digital wellbeing

a ak bahot hi badiya option hai ham apna mobile kitni der tak use karte hai ki ham ko hamari sehat ka khyal hi nai rehta to isme apko ak dashboard milenga to ap ko isme pata chalenga ke apne kis app ko kitna use kiya hai din me kitni bar apne phone ko unlock kiya hai or kitni bar kis website or app ko use kiya hai or ap dashboard me ap limit bhi laga sakte hai k jese apko youtube ko din me 1 ganta use karna hai to uske bad vo app disable ho jayengi or ham usko bad me manually hata bhi sakte hai lekin ap apna use control karna chahte hai to apko ae option bhi mil jayenga

Do not Disturb isme bada changes hai isme ap agar d&d ka use karenge to apko display koi bhi notification nahi denga k apko kiska call aaya ya to msg to ap shanti se jo kam kar rahe hai vo kam kar sakte hai mobile se dhyan hata k

Wind Down Mode

isme hota kya hai ap agar rat ko jagte hai or mobile dekhate hai to ap 2 minit ke jaga pe 2 gante lage te hai to agar ap wind down mode me time set karte hai to apo ap screen utne time k bad black&white ho jayegi

update filhal pixel phones me to aa hi gaye hai baki phones me bhi aa hi jayenge

Sort:  

Congratulations @machinewale! You have completed the following achievement on Steemit and have been rewarded with new badge(s) :

Award for the number of posts published

Click on the badge to view your Board of Honor.
If you no longer want to receive notifications, reply to this comment with the word STOP

Do you like SteemitBoard's project? Then Vote for its witness and get one more award!

Coin Marketplace

STEEM 0.18
TRX 0.16
JST 0.031
BTC 62471.79
ETH 2621.42
USDT 1.00
SBD 2.56