Steemmonster Ke Bare Me Hindi/Urdu Me Jankari

in #steemmonster5 years ago (edited)

Hello dosto, kafi sare ese log he jo steemmonster khelna chahte he par khel nahi sakte kyuki unke pass basic jankari apni language me available nahi hoti. Yaha par me isis wajah se un logo ke liye ye guide provide kar raha hu jo english nahi jante.

Steemmonster me wahi king he jiski pass behtarin cards mojud ho. Agar aap ke pass 1 se jyada cards he to aap use level up karke aur jyada powerful bana sakte he. Agar aap aage jana chahte he and jyada cards earn karna chahte he to aap ko apne cards ko levelup karna jaruri he.

Agar aap jyada cards earn nahi karna chahte he and 20-22 cards earn karke hi khelna chahte he to is situation me aap extra cards sell kar sakte he. Kayi baar cards sell hone me time lagta he. Me aapko card sell karne ke liye minimum rate recommend karunga. Kyuki isse card jaldi sell ho jate he.

To aayiye shuru karte he ►

Steemmonster shuruaat kaise kare?

Dosto yaha pe me aapko step by step jankari dunga jisko aapko achche se samajhna he. Ek behtarin shuruaat karne ke liye starter pack lena bahut hi jyada jaruri he. Tabhi aap daily quest aur tournament mila ke 50-60 cards har 12 din me easily earn kar sakte he

1 . Sabse pehle aapko steemmonster ki official website pe jana he.

  1. Ab aapko login karna he. Yadi aap new user he to aap instantly steem account yaha se bana sakte he. Aga raap old user he to apne old steem account and posting key se login kare.

  2. Abhi aap Screen ke samne starter set ka option aayega jo aapko buy karna he. ye one time investment he. Jisme aapko 30 cards milenge summoner ke sath. Aap credit card/debit card ya fir crypto se purchase kar sakte he.
    Untitled.png

4.Jab aap Pack buy karle uske baad aap battle me jake cards battle kar sakte he. Battle ki jankari ke liye mene niche details di he.

Cards kaise sell kare?

Jaha par card sell karne ki baat aati he to aapko jo aapke starter pack me jo card mile he wo nahi sell karna he. Jo aap daily quest se earn karte he ya fir tournament me aapko jo cards milte he wahi sell kare.

Card sell karne ke liye collection me jaye. Aur jis card ko sell karna he us par click kare. Aur ab aapko sell pe click karna he and aapki price USD me dalni he. Cards ka current rate dekhne ke liye aapko market me jana padega.

Untitled.png

Market me aap us card ka rate dekh sakte he aur usse aapko idea mil jayega ki is card ko kitne me sell karna he. Card ko level up karke bechne par uski kimat bhi utni hi badh jati he. To agar aap level 1 wala card bech rahe he to usi level ki price dekhe.

Cards ko level up kaise kare?

Agar aap ke pass ek se jyada card he to aap use combine karke uski power badha sakte he aur usi chij ko level up karna bolte he. Yaha par aapko ek baat dhyan rakhna he ki jis category ka card aap level up kar rahe he us category ke summon ka eligible hona jaruri he.

Untitled.png

For example agar fire category ka koi card level up kar rahe he and fire category ka summon level up nahi kiya he to wo card aap upgrade kiye huve level ke sath istemaal nahi kar skate uski power level 1 wali hi rahegi. To agar aap kisi category ka card level up karna chahte he to sab se pehle us category ke summon ko level up kare.

Mana kya he aur isse kis tarah se istemaal kare?

Dosto mana ko samjhne se pehle aap niche diya gaya sreen short dekhiye
Untitled.png

Upar diye gaye image me jaha cards ke upar round kiya gaya he wo card ka mana he aur battle niche jo red round kiya gaya he wo mana limit he jo batati he ki aapko is round me kitne mana mile he and aap us hishab se kitne cards choose kar sakte he.

Battle me jitne ke liye kuch behatirn tips

Agar aapko Battle me jitna he to ese cards ka istemal karna he jo ek vaar me victim ke 2 ya jyda lives ko maar giraye. Aur sabse shuru me aapko auto lives wala card istemal karna he jiske lives dead hone par second round me fir se increase ho jaye.

Koshsih ye rakhe ki ek card aag ke gole barsane wala, ek kulhadi fekne wala and ek direct attack karne wala card rakha jaye. To is tarah se aapko diversity ko maintain karna he and first postion pe auto lives wala card hi istemaal karna he.

Har baar Cards different position me try karne ki koshish jarur kare tabhi aapko new strategies milti rahegi. Kyuki cards ke sath sath aapki strategy ko bhi powerful hona jaruri he.

Daily quest kaise khele?

Steemmonster daily quest bhi provide karta he jisme aap daily cards earn kar sakte he.


Image source

Bus aapko karna yah he ki instruction me jis card series se aapko khelne ko kaha gaya he usi card series se aap battle khele. And jese hi aap us series ke cards se 5 match win kar jayenge aapko apne rating ke hishab se aapko cards milenge.

Steem monster me Aap per day kitna earn kar sakte he?

Steem monster par earning koi fix nahi he. Maan lijiye agar aap daily quest khel kar 4 cards earn kar rahe he and 12 days tournament me aap 30 cards win karte he. to aapko 12 * 4= 48 cards quest se milenge aur tournament ke 30 cards aapko milenge to aapki har 12 days me earning hoti he 78 cards.

Ab 78 cards me sab ka rate alag alag hota he. Koi cards 4 USD ke bhi hote aur koi cards 0.02$ USD ke. To us hishab se aap earning apne hishab se count kar sakte he.

To ummed karta hu aapko ye jankari pasand aayi hogi agar aap steemmonster ke bare me koi bhi question puchna chahte he to aap comment kar sakte he.

Steemmonster join kare

Sort:  

To listen to the audio version of this article click on the play image.

Brought to you by @tts. If you find it useful please consider upvoting this reply.

Sneaky-Ninja-Throwing-Coin 125px.jpg
Defended (18.18%)
Summoned by @imransoory
Sneaky Ninja supports @youarehope and @tarc with a percentage of all bids.
Everything You Need To Know About Sneaky Ninja


woosh

Coin Marketplace

STEEM 0.25
TRX 0.11
JST 0.032
BTC 62062.59
ETH 3002.04
USDT 1.00
SBD 3.77