Jinse na thi umeed usne kiya kamaal

in #life5 years ago

Bhaaiyo aaj ka match laga tha ki hum haar jaayenge lekin hum haare nahi yaar bach gaye. Batao sala 18 run me hi 4 wicket gir gaye sab ko laga tha hum haar jaayenge. Waise haar bhi jaate to series apne naam hi tha lekin hum haare nahi. Aaj kisi tarah bach gaye aaj jiss par bharosa nahi tha usne run bana diya ye sab se badi baat hai. Mujhe to laga hi nahi tha ki hum aaj ki match jeet paayenge. 

Rayudu ne kiya kamaal.  
Sab se pahle to Rayudu bhaiyya inhi ki wajah se aaj match jeet paaye hai mujhe lagta tha ye team me faltu me hai. Iss ki jagah par dinesh karthik ko rakhna chahye waise mere khyaal se aap bhi yahi sochte honge. Ye bande ka sabhi match me performance bahut kharab raha hai lekin aaj ki match me iss ka performance bahut hi shandaar tha. 

Iss akele bande ne aaj kamaal kar diya aaj ye naa marta to mujhe lag raha tha ki aaj hum 50 me hi nipat jaayenge. 18 run me h i4 wicket gir gaye they mujhe to pakka yakeen tha ki aaj hum 50 run se pahle hi nipat jaayenge. Lekin Rayudu ne morche ko achhe se sambhala ye banda ruka nahi aur run banata hi raha. 

Aaj iss ne 90 run bana diye. Yadi aaj bhi iss ne run nahi banaya hota to aaj bahut gaali sunne wala tha ye banda. Lekin aaj to sab iss ki tareef kar rahe hai. Iss ne to aaj kamaal hi kar diya hai jiss ki umeed kisi ko nahi thi waisa kamaal kar diya hai iss bande ne. Mujhe to umeed hi nahi thi ki ye banda itni badi paari khel paayega. Pahli baar iss ko itna achha khelte huye dekha hai maine. Waise IPL me ye thik hi khelta hai. 

Hardik ka to jawaab nahi.
Bhaaiyo aaj to aisa lag raha tha jaise hardik pandya new zealand ke bowler ko karan johar samajh ke dho rahe ho. Kamaal ka dhoya hai aaj iss bande ne isi ke saath iss ne ye sabit kar diya hai ki critical time me ye banda apna best de sakta hai. Iss ne 22 ball par 45 run banaaye hai thoda aur ruk jaata to 50 run maar leta. Lekin fir bhi yaar tareef karne laayak khela hai iss ne bhi aaj. 


Image source

Aaj jin se umeed nahi thi usi ne run banaya hai. Jaise vijay shankar ne bhi achha run banaya aur run rate ko majboot kiya aur Jadhav ne bhi achha run banaya. Baaki jin se umeed thi usne koi run hi nahi banaya. MS Dhoni bechaare aaj to bas 1 run me hi nipat gaye. Inse aaj badi paari ki umeed thi lekin aaj inka balla thik se nahi chala. 

Chalo isi ke saath ye series khatam ho gaya hai, maja to bahut aaya lekin last 2 match maine virat ko bahut miss kiya hai. Wo banda abhi apni wife ke saath honeymoon mana raha hai. 

Coin Marketplace

STEEM 0.24
TRX 0.11
JST 0.032
BTC 61166.56
ETH 2987.63
USDT 1.00
SBD 3.71