Hindi ghazal
सबका जीना मुहाल करते हैं,
आईने जब सवाल करते हैं.
ज़ख्म मानिंद हैं बुजुर्गों के ,
दर्द की देखभाल करते हैं.
वो गुनाहों को ग़लतियाँ कह कर,
ग़लतियाँ सालों साल करते हैं.
कश्तियाँ घूमती हैं सागर में,
काम मछली का जाल करते हैं.
नींद है क़त्लगाह जिसमे हम,
रोज़ सपने हलाल करते हैं.
योजना संसदों में बनती हैं,
जिनको पूरा दलाल करते हैं.
दिखने वाले हैं ऐसे वैसे जो,
कैसे कैसे कमाल करते हैं.
Sabka jeena muhal karte hain,
Aaeene jab sawal karte hain.
Zakhm manind hain buzurgon ke,
Dard ki dekhbhal karte hain.
Wo gunaahon ko galtiyaan keh kar,
Galtiyaan saalon saal karte hain.
Kashtiyaan Ghumti hai sagar mein,
Kaam machhli ka jaal karte hain.
Neend hai qatalgaah jismein ham,
Roz sapne halaal karte hain.
Yojna saansdon mein banti hai,
Jinko pura dalaal karte hain.
Dikhne waale hain aise waiise jo,
Kaise Kaise qamaal karte hain.
Nice work friend.
Thanks
awesome