Street food of delhi Bhaag-3
Delhi me bhelpuri ki lokpriyta 80 ke dasak se badhi. Isi doran 1987 se DU north campus me mohan bhelpuri se rijhana suru kiya. Hindu college ke bus stop se satkar bager board corner ke rehdi har subah 10 se raat 7 baje tak lagti hai. Khaane jaane se pehle yaad rakhe ki Sunday or university avkas par chutti rehti hai. Item akeli bhelpuri hi hai. Mohan lal ne suruaat ki or aaj bhi akele jute rehte hai.Rehdi ke front par chaar bade bade showcase stlye ke bakshe saje rehte hai. Ek me fuliya dusre me besan ki bundi teesre me seviyan or chothe me paapdi bhari rehti hai. Bagal me do maratbaan rakhe hai ek me meethi sond hai or dusre me mirch pudina ki chatni. Aate jaate students ruk ruk kar bhelpuri banwate hai.
Go here https://steemit.com/@a-a-a to get your post resteemed to over 72,000 followers.
You got a 2.27% upvote from @postpromoter courtesy of @aparna!
Want to promote your posts too? Check out the Steem Bot Tracker website for more info. If you would like to support the development of @postpromoter and the bot tracker please vote for @yabapmatt for witness!